Pages

Friday, April 27, 2012

Mat jaao

Mat jaao mere paas hee baithi reho
ki tum bin sab kuch soona soona sa lagta hai

Chup rehna hai to chup hee reho
tumhari marzi hai agar to kuch na kaho
kho jane do kuch der ke liye in aankhon mein
kitna bhi dekhu is haseen chehre ko
jee bharta hee nahi

Ek ajeeb see kashish hai jo khichti hai mujhe
tumhari ore
tumhe dekh kar ye dhadkane
jane kyun tez ho jati hain
tum chale jate ho to kuchh bhi acha nahi lagta

Mat jaao mere paas hee baithi reho
ki tum bin sab kuch soona soona sa lagta hai
-Shail

मत जाओ

मत जाओ मेरे पास ही बैठी रहो
की तुम बिन सब कुछ सूना सूना सा लगता है

चुप रहना है तो चुप ही रहो
तुम्हारी मर्ज़ी है अगर तो कुछ ना कहो
खो जाने दो कुछ देर के लिये इन आँखों में
कितना भी देखूं इस हसीं चेहरे को
जी भरता ही नहीं

एक अजीब सी कशिश है जो खिंचती है मुझे
तुम्हारी ओर
तुम्हे देखकर ये धड़कनें
जाने क्यूँ तेज़ हो जाती हैं
तुम चली जाती हो तो कुछ भी अच्छा नहीं लगता

मत जाओ मेरे पास ही बैठी रहो
की तुम बिन सब कुछ सूना सूना सा लगता है

Tuesday, March 13, 2012

Ye tujhko bhi maloom aur mujhko bhi khabar hai
tere dil mein mera nahi kisi aur ka basar hai
socha tha jee lenge tujhe yaad karte karte lekin
do din ka nahi ye bahut lamba safar hai
-Shail

Wednesday, February 29, 2012

Dil ne keha...mere zakhmon ka hisab to kiye ja
maine keha...ae pagal...dard mein khushi khoj aur jiye ja

Friday, January 13, 2012

Khush tha main apne ek chhote se ashiyaane mein "Shail"
nikal baahar jo dekha to har teraf udasiyon ka manjar hai

Sunday, January 8, 2012

Ab to khayalon mein bhi koi chehra acha nahi lagta "Shail"
usko jab bhi sochta hu sab tasveerein be-rang ho jati hain
Apni dastan bhi ek uljhi paheli see hai ae dost
na tu mujhe jaan saka na main tujhe suljha paya
-Shail

Friday, December 23, 2011

बरसों पहले

अश्कों ने परदा सा कर दिया है आँखों पे
कुछ धुंधली यादों ने आज फिर
आ घेरा है मन को
शायद जिंदा हु इन्ही 
प्यारी कड़वी मीठी यादों के सहारे
दिल आज फिर वहीँ जा पंहुचा है
जहाँ तू छोड़ गया था
मुझे...


शायद तु कभी आये लौट कर 
मुझे ढूंढता हुआ
तुझे तकलीफ न हो मुझे खोजने में
मैं वहीँ हूँ
हाँ मैं उसी जगह मिलूँगा तुझे
जहाँ तु छोड़ गया था
मुझे...बरसों पहले...
-शैल

Friday, November 4, 2011

ग़ज़ल 14

प्यार, मोहब्बत, वफ़ा सब फ़साना सा लगता है
शहर में कोई नहीं जाना पहचाना सा लगता है

किसी की याद, ग़म-ए-तन्हाई और जाम है साथ
मयकदे में हर शक्स दीवाना सा लगता है

उसकी जुल्फें, उसकी आँखें, उसके चेहरे की रौनक 
दीदार-ए-आरजू लिए एक पल भी ज़माना सा लगता है

क्या कहें की दिल टूटा है कैसे और कितनी बार
किसी का प्यार से देखना भी अब सताना सा लगता है

इस दिल में अब तो वही है बस वही रहेगा "शैल"
किसी और को कितना भी सोंचू अनजाना सा लगता है

GHAZAL 14


Pyar, mohabbat, wafa sab fasana sa lagta hai
shehar mein koi nahi jana pehchana sa lagta hai

Kisi ki yaad, gham-e-tanhai aur jaam hai sath
Maykade mein har shaqs deewana sa lagta hai

Uski zulfein, uski aankhein, uske chehre ki ronak
deedar-e-aarzu liye ek pal bhi zamana sa lagta hai

Kya kahein ki dil toota hai kaise aur kitni baar
Kisi ka pyar se dekhna bhi ab satana sa lagta hai

Is dil mein ab to wohi hai bas wohi rahega “Shail”
Kisi aur ko kitna bhi sochu anjana sa lagta hai

Monday, September 5, 2011

ग़ज़ल 13

खुशियों को तो एक पल में भुलाते हैं
दर्द का जाने क्यूँ लोग आइना दिखाते हैं

गुज़रते न थे जो मयकदों की गलियों से भी
आज देखा तो पैमानों पे पैमाने पिलाते हैं

कभी तो आओगे लौटकर तुम इस तरफ भी
इसी उम्मीद में घर अपना रोज़ सजाते हैं

उसकी चाहत में कभी मैं न था शामिल
फिर भी उसके प्यार की झूठी आस लगाते हैं

क्यूँ याद करता है तू उन लोगों को शैल
तुझे भुलाकर जो हर रोज़ जशन मनाते हैं

Sunday, September 4, 2011

GHAZAL 13

Khushiyon ko to ek pal mein bhulaate hain
dard ka jaane kyun log aaina dikhaate hain

Guzrate na the jo maykado ki galiyo se bhi
aaj dekha paimano pe paimane pilaate hain

Kabhi to aaoge laut kar tum iss teraf bhi
isi ummeed mein ghar apna roz sazaate hain

Uski chahat mein kabhi main na tha shamil
phir bhi uske pyar ki jhoothi aas lagaate hain

Kyun yaad karta hai tu un logo ko Shail
tujhe bhulakar jo har roz jashn manaate hain

Tuesday, August 9, 2011

ग़ज़ल 12

अभी तो तेरे गुनाहों का हिसाब होगा
कुछ अनकहे सवालों का जवाब होगा

पहचानना गौर से अपने दुश्मनों को
मिलेंगे वो तो चेहरों पे नकाब होगा

मिल जायेगा हमदर्द किसी को जहां में
ये तेरे मन का भ्रम या कोई ख्वाब होगा

रुकना नहीं मुश्किलों से डरकर कभी
बढ़ता रहा जो वही कामयाब होगा

खुश तो होते हैं कुछ पाने पे सभी
खोने पे जो मुस्कुराया वो नवाब होगा

कभी मत देना किसी को मशवरा शैल
वक़्त के साथ अपना ही दामन खराब होगा

GHAZAL 12

Abhi to tere gunahon ka hisaab hoga
kuchh ankahe sawalon ka jawaab hoga

Pehchan'na gaur se apne dushmano ko
milenge wo to chehron pe naqab hoga

Mil jayega humdard kisi ko jehan mein
ye tere mann ka bhram ya khwab hoga

Rukna nahi darkar mushkilo se kabhi
badhta reha jo wahi kamyaab hoga

Khush hote hain kuchh paane pe sabhi
khone pe jo muskuraya wo nawab hoga

Kabhi mat dena kisi ko mashwara Shail
waqt k sath apna hi daaman kharab hoga

Wednesday, August 3, 2011

Baat na karne ke bahaane kyun bnaate ho Shail
Sirf itna kah do ki tumhe mera sath achcha nahi lagta
Sochta hu kya wejah hai teri mujhse door jane ki
kabhi bhi tune koshish na ki mere paas aane ki

Main ek pagal tha shayad jo bhatkata reha
kya qdar thi teri galiyon mein is deewane ki
Sochte hain ki main unhe bhul jaaunga
unke aisa karne se door chala jaunga

Wo sath nahi dete hain to kya hua
unke khayalon se kaise mehroom reh paunga
Jab main dooba to usey fursat na thi sahare ke liye Shail
chal diya ye kehkar ki kal milo to sochenge shayad

Tuesday, August 2, 2011

Humse ruthna hai to kuchh bol kar jaao Shail
Yun be wejah satana achcha nahi lagta
Door rehkar yun khamoshi se na dekho mujhe
Koi tumhare intezar mein khafa hua baitha hai

Khuda ne diya hai husn to sambhal kar rakho
Ki mujhme ek shaitan chhupa hua baitha hai