Pages

Friday, January 13, 2012

Khush tha main apne ek chhote se ashiyaane mein "Shail"
nikal baahar jo dekha to har teraf udasiyon ka manjar hai

Sunday, January 8, 2012

Ab to khayalon mein bhi koi chehra acha nahi lagta "Shail"
usko jab bhi sochta hu sab tasveerein be-rang ho jati hain
Apni dastan bhi ek uljhi paheli see hai ae dost
na tu mujhe jaan saka na main tujhe suljha paya
-Shail