Pages

Friday, December 23, 2011

बरसों पहले

अश्कों ने परदा सा कर दिया है आँखों पे
कुछ धुंधली यादों ने आज फिर
आ घेरा है मन को
शायद जिंदा हु इन्ही 
प्यारी कड़वी मीठी यादों के सहारे
दिल आज फिर वहीँ जा पंहुचा है
जहाँ तू छोड़ गया था
मुझे...


शायद तु कभी आये लौट कर 
मुझे ढूंढता हुआ
तुझे तकलीफ न हो मुझे खोजने में
मैं वहीँ हूँ
हाँ मैं उसी जगह मिलूँगा तुझे
जहाँ तु छोड़ गया था
मुझे...बरसों पहले...
-शैल

Friday, November 4, 2011

ग़ज़ल 14

प्यार, मोहब्बत, वफ़ा सब फ़साना सा लगता है
शहर में कोई नहीं जाना पहचाना सा लगता है

किसी की याद, ग़म-ए-तन्हाई और जाम है साथ
मयकदे में हर शक्स दीवाना सा लगता है

उसकी जुल्फें, उसकी आँखें, उसके चेहरे की रौनक 
दीदार-ए-आरजू लिए एक पल भी ज़माना सा लगता है

क्या कहें की दिल टूटा है कैसे और कितनी बार
किसी का प्यार से देखना भी अब सताना सा लगता है

इस दिल में अब तो वही है बस वही रहेगा "शैल"
किसी और को कितना भी सोंचू अनजाना सा लगता है

GHAZAL 14


Pyar, mohabbat, wafa sab fasana sa lagta hai
shehar mein koi nahi jana pehchana sa lagta hai

Kisi ki yaad, gham-e-tanhai aur jaam hai sath
Maykade mein har shaqs deewana sa lagta hai

Uski zulfein, uski aankhein, uske chehre ki ronak
deedar-e-aarzu liye ek pal bhi zamana sa lagta hai

Kya kahein ki dil toota hai kaise aur kitni baar
Kisi ka pyar se dekhna bhi ab satana sa lagta hai

Is dil mein ab to wohi hai bas wohi rahega “Shail”
Kisi aur ko kitna bhi sochu anjana sa lagta hai

Monday, September 5, 2011

ग़ज़ल 13

खुशियों को तो एक पल में भुलाते हैं
दर्द का जाने क्यूँ लोग आइना दिखाते हैं

गुज़रते न थे जो मयकदों की गलियों से भी
आज देखा तो पैमानों पे पैमाने पिलाते हैं

कभी तो आओगे लौटकर तुम इस तरफ भी
इसी उम्मीद में घर अपना रोज़ सजाते हैं

उसकी चाहत में कभी मैं न था शामिल
फिर भी उसके प्यार की झूठी आस लगाते हैं

क्यूँ याद करता है तू उन लोगों को शैल
तुझे भुलाकर जो हर रोज़ जशन मनाते हैं

Sunday, September 4, 2011

GHAZAL 13

Khushiyon ko to ek pal mein bhulaate hain
dard ka jaane kyun log aaina dikhaate hain

Guzrate na the jo maykado ki galiyo se bhi
aaj dekha paimano pe paimane pilaate hain

Kabhi to aaoge laut kar tum iss teraf bhi
isi ummeed mein ghar apna roz sazaate hain

Uski chahat mein kabhi main na tha shamil
phir bhi uske pyar ki jhoothi aas lagaate hain

Kyun yaad karta hai tu un logo ko Shail
tujhe bhulakar jo har roz jashn manaate hain

Tuesday, August 9, 2011

ग़ज़ल 12

अभी तो तेरे गुनाहों का हिसाब होगा
कुछ अनकहे सवालों का जवाब होगा

पहचानना गौर से अपने दुश्मनों को
मिलेंगे वो तो चेहरों पे नकाब होगा

मिल जायेगा हमदर्द किसी को जहां में
ये तेरे मन का भ्रम या कोई ख्वाब होगा

रुकना नहीं मुश्किलों से डरकर कभी
बढ़ता रहा जो वही कामयाब होगा

खुश तो होते हैं कुछ पाने पे सभी
खोने पे जो मुस्कुराया वो नवाब होगा

कभी मत देना किसी को मशवरा शैल
वक़्त के साथ अपना ही दामन खराब होगा

GHAZAL 12

Abhi to tere gunahon ka hisaab hoga
kuchh ankahe sawalon ka jawaab hoga

Pehchan'na gaur se apne dushmano ko
milenge wo to chehron pe naqab hoga

Mil jayega humdard kisi ko jehan mein
ye tere mann ka bhram ya khwab hoga

Rukna nahi darkar mushkilo se kabhi
badhta reha jo wahi kamyaab hoga

Khush hote hain kuchh paane pe sabhi
khone pe jo muskuraya wo nawab hoga

Kabhi mat dena kisi ko mashwara Shail
waqt k sath apna hi daaman kharab hoga

Wednesday, August 3, 2011

Baat na karne ke bahaane kyun bnaate ho Shail
Sirf itna kah do ki tumhe mera sath achcha nahi lagta
Sochta hu kya wejah hai teri mujhse door jane ki
kabhi bhi tune koshish na ki mere paas aane ki

Main ek pagal tha shayad jo bhatkata reha
kya qdar thi teri galiyon mein is deewane ki
Sochte hain ki main unhe bhul jaaunga
unke aisa karne se door chala jaunga

Wo sath nahi dete hain to kya hua
unke khayalon se kaise mehroom reh paunga
Jab main dooba to usey fursat na thi sahare ke liye Shail
chal diya ye kehkar ki kal milo to sochenge shayad

Tuesday, August 2, 2011

Humse ruthna hai to kuchh bol kar jaao Shail
Yun be wejah satana achcha nahi lagta
Door rehkar yun khamoshi se na dekho mujhe
Koi tumhare intezar mein khafa hua baitha hai

Khuda ne diya hai husn to sambhal kar rakho
Ki mujhme ek shaitan chhupa hua baitha hai
Ye zindgi bhi deewaron k jaisi hoti hai shayad Shail
har saal naya rang chadta hai aur utar jata hai
Bahut door tak jayega teri yaadon ka carvan Shail
Kash koi lutera mil jaye to kuchh sakun mile
Jane kyun tujhe yakin ho gya meri bewafai ka Shail
Kash tune ek baar keha hota ki ye jhuth hai

Wednesday, July 27, 2011

ग़ज़ल 11

तेरे लिए न जाने कितनो से दूर हुआ
वक़्त के साथ ये दिल भी मजबूर हुआ 

इश्क को कब सराहा है  जग वालों ने
मरने के बाद ही ये मशहूर हुआ

किसकी तमन्ना किये बैठा है ऐ दिल
दिल तोड़ना तो ज़माने का दस्तूर हुआ

तू जो साथ है तो कर जायेंगे कुछ भी
तेरे लिए हर सितम भी मंजूर हुआ

क्यूँ नहीं मिलती हैं तकदीरें अपनी शैल
दीवानों से ऐसा भी क्या कसूर हुआ

GHAZAL 11

Tere liye na jane kitno se door hua
waqt k sath ye dil bhi majboor hua

Ishq ko kab saraha hai jag walo ne
marne k baad hee ye mashhur hua

Kiski tamanna kiye baitha hai ae dil
dil todna to ab zamane ka dastur hua

Tu jo sath hai to kar jayenge kuch bhi
tere liye har sitam bhi manjoor hua

Kyun nahi milti hain taqdire apni Shail
deewano se aisa bhi kya kasoor hua

Thursday, July 7, 2011

ग़ज़ल 10

तुम्ही बता दो कि ये जिंदगानी क्या है
तेरी ख़ामोशी मेरा इंतज़ार ये कहानी क्या है

लिख ना पाता था जो एक लफ्ज़ चाहकर कभी
आज उसकी कलम में ये रवानी क्या है

रोज़ वादा करके मुकर जाने वाले बता
आज ना आने के लिए बात बनानी क्या है

कभी लड़ते हो तो कभी खामोश रहते हो
यूँ ही गुज़र जाए तो फिर जवानी क्या है

जाने क्यूँ याद आते हो हर पल मुझे शैल
आखिर मुझसे तुम्हे ये परेशानी क्या है

GHAZAL 10

Tumhi bata do ki ye zindagaani kya hai
Teri khamoshi mera intezar ye kahani kya hai

Likh na pata tha jo ek lafz chahkar kabhi
Aaj uski kalam mein ye rawani kya hai

Roz wada karke mukar jaane wale bata
Aaj na aane ke liye baat banaani kya hai

Kabhi ladte ho to kabhi khamosh rehte ho
Yun hee gujar jaye to phir jawani kya hai

Jane kyun yaad aate ho har pal mujhe Shail
Aakhir mujhse tumhe ye pareshani kya hai

Saturday, July 2, 2011

ग़ज़ल 9

तू जो मुस्कुराया तो इक फ़साना बना
ग़म छुपाने का इक बहाना
बना

तुझे देखकर संभल न पाया
कभी
तेरा हुस्न इस क़दर कातिलाना बना

आये गए हज़ार इस ज़िन्दगी में
पर दिल का कहीं और न ठिकाना
बना

तेरी हर एक अदा पे प्यार आता है
क्या कहूँ क्यूँ मैं दीवाना बना

मिट न सका है किस्सा-ए-मुहब्बत शैल
चाहे दुश्मन इश्क का ज़माना बना

GHAZAL 9

Tu jo muskuraya to ik fasana bana
gham chhupane ka ik bahana bana

Tujhe dekh k sambhal na paya kabhi
tera husn is kadar qatilana bana

Aaye gaye hazaar is zindagi mein
par dil ka kahin aur na thikana bana

Teri har ik ada pe pyaar aata hai
kya kahu kyun main deewana bana

Mit na saka hai kissa-e-muhabbat Shail
chahe dushman ishq ka zamana bana

Thursday, June 30, 2011

ग़ज़ल 8

उसकी यादों से ये शाम रंगीन है
मेरे ख़्वाबों की दुनिया अब भी हसीन है

सज़ा कुछ भी हो मुक़र्रर कर चाहत की
किया इस दिल ने जो खता वो संगीन है

गिरने दे आँखों से तो कुछ सुकून मिले
ये कहकर मेरे अश्क भी ग़मगीन हैं

चाहे उड़ ले जितना ऊंचा पर ये सोच ले
तेरे पांव के नीचे आसमान नहीं ये ज़मीन है

मत कर दुनिया से ख़ुशी की उम्मीद शैल
मसर्रत नहीं ये तो ग़म की शौक़ीन है

GHAZAL 8

Uski yaadon se ye shaam rangeen hai
mere khwabon ki duniya ab bhi haseen hai

Saza kuch bhi ho muqarrar kar chahat ki
kiya is dil ne jo khata wo sangeen hai

Girne de aankhon se to kuch sakun mile
ye kah kar mere ashq bhi gamgeen hain

Chahe udd le jitna bhi ucha par ye soch le
tere pao ke neeche aasman nahi, zameen hai

Mat kar duniya se khushi ki ummeed Shail
massart nahi ye to gham ki shaukeen hai

Sunday, May 15, 2011

ग़ज़ल 7

हर तरफ घनघोर अँधेरा ही अँधेरा है
इन काली रातों से बहुत दूर सवेरा है

जिन पेड़ों पे कभी घोसले थे पंछियों के
उनकी डालियों पे वीरानियों का बसेरा है

बरसते थे बादल उनके आने की ख़ुशी में
अब तो दिन रात इस आसमान पे उनका डेरा है

बिखर गए हैं सब हवा के एक झोंके से
रिश्ते थे या भ्रम बस समझ का फेरा है

इन घटाओं से आँधियों  का गुमां होता है
बचाकर के रखना तिनको का घर तेरा है

काश उसकी यादों को मिटा पाना मुमकिन होता शैल
वो शक्स जो मेरे ख़्वाबों का होकर भी न मेरा है

GHAZAL 7

Har teraf ghanghor andhera hi andhera hai
in kaali raaton se bahut door savera hai

Jin pedo pe kabhi ghosle the panchhyon ke
unki daaliyo pe veeraniyon ka basera hai

Barste the baadal unke aane ki khushi mein
ab to din raat is aasman pe unka dera hai

Bikhar gaye hain sab hawa ke ek jhonke se
rishtay the ya bhram..bas samajh ka fera hai

In ghataaon se aandhiyon ka gumaan hota hai
bacha kar ke rakhna tinko ka ghar tera hai

Kaash uski yaadon ko mita pana mumkin hota Shail
wo shaqs jo mere khwabo ka hokar bhi na mera hai

Wednesday, May 11, 2011

Woh

Wo samne tha mere aur main kuchh kah na paya
Jab bhi usse dekhna chaha wo door najar aaya
Mere dil se lekin wo door jata nahi
Jane ussne aisi kya pehchan hai banaya

Kuchh derr ruk jane ki wajah dhundta hoon
Tujhpe mere pyar kaa asar dhundta hoon
Tu najar nahi aata mujhe phir bhi
Tujhe har shakl mein har pal dhundta hoon

Pyar hai agar tujhe mujhse to ek baar aaja
Kahin se to apni ummeed dikha jaa
Naa jane kab iss jindgi ki sham ho jaye
Isse pahle tu ban ke meri jeevan ki subah aaja

Log dekhte hain sabhi meri teraf aise
Koi samay ki ghadi ruki ho jaise
Tu muskurata hai meri palko mein yu
Oss ki bundo mein gulab khila ho jaise

Friday, April 22, 2011

Waqt ki nazaqat ko samjho ae shayar dil walon
yun aadhi raat ko uthkar shayari likha nahi karte
Khamosh raaton ka bas yahi hai afsana
mera yaad karna aur unka bhool jana

Dooriyon se bhi pyar hai, faaslon se mohabbat
doob gya hai unmein iss kadar ye dil deewana

Monday, April 18, 2011

Nafrat mein ho ya pyar mein...jung to jung hee hoti hai
iss haar jeet ke chakkar mein badnaam mohabbat hoti hai

Thursday, April 14, 2011

ग़ज़ल 6

शाम को सुबह का इंतज़ार कब तक होगा
इंसान से इंसान परेशान कब तक होगा

नफरतों से घिरा है प्यार से बेज़ार आदमी
हमारे दिलों में ये रेगिस्तान कब तक होगा

वो मुझसे दूर जाकर लौट आयेगा एक दिन
उसके जाने से ये दिल हैरान कब तक होगा

ना मिलेगा वो मंदिर में ना ही मस्जिद में
हर शक्स अपने वजूद से अनजान कब तक होगा

वक़्त आने पे उग जायेगी फसल-ए-मुहब्बत शैल
यहाँ हिंदुस्तान वहाँ पाकिस्तान कब तक होगा

GHAZAL 6

Shaam ko subah ka intezar kab tak hoga
Insaan se insaan pareshan kab tak hoga

Nafrto se ghira hai pyar se bezaar aadmi
Hamare dilon mein ye registan kab tak hoga

Wo mujhse door jaakar laut aayega ek din
Uske jaane se ye dil hairan kab tak hoga

Na milega wo mandir mein na hee maszid mein
Har shaqs apne wajood se anjaan kab tak hoga

Waqt aane pe ug jayegi fasl-e-mohabbt Shail
Yehan Hindustan wehan Pakistan kab tak hoga

Sunday, April 10, 2011

ग़ज़ल 5

अब तो निकल आओ परदे से आफताब बनकर
कब तक छुपे रहोगे यूँ ईद का चाँद बनकर

कोई नफ़रत कोई शिकायत न रहेगी किसी से
जब मिला करोगे सबसे इंसान बनकर

बहुत तकलीफ होती है तेरे जाने के बाद
आया न करो दिल में यूँ मेहमान बनकर

हज़ारों बरबाद हुए तुम्हारी चाहत में
कब तक चुप रहोगे यूँ नादान बनकर

दोस्ती में अब उस मुकाम से गुज़रना है शैल
जब मिलोगे तुम लोगों से मेरी पहचान बनकर

GHAZAL 5

Ab to nikal aao parde se aftab bankar
kab chhupe rehoge yun Eid ka chand bankar

Koi nafrat koi shikayat na rahegi kisi se
Jab mila karoge sabse insaan bankar

Bahut takleef hoti hai tere jane ke baad
Aaya na karo dil me yu mehman bankar

Hazaron barbaad huye tumhari chahat me
Kab tab tak chup rahoge yu nadan bankar

Dosti mein ab us mukaam se guzrna hai Shail
Jab miloge tum logo se meri pehchan bankar

Sunday, April 3, 2011

Subah bhi waise hee rukh pe lipti huyi zulfein thi
raat chaand kuchh aise hee baadalon se khel reha tha
Alfazo mein wo baat kehan ki byaan kar sakein
phir bta kar apni chahat ki tauheen kyun karein

Friday, March 4, 2011

Nawazish ki jarurat nahi koi unko btlaaye jaakar
unke khush hone mein meri khudgarzi shamil hai
Uske lafzo ki kuch yu aadat ho gayi hai Shail
ab to khwabon mein bhi unse guftugu hoti hai
Shayad talafuzz ka fark tha tere mere beech shail
pyar nahi hai mujhse aisa tune kabhi keha to nahi
Jaane kyun log meri shayri ka sabab puchhte hain Shail
gham aur bhi hote hain iss jehan mein muhabbat ke siva
Iss kadar chha jaaunga tere dilo dimaag pe Shail
tum kuchh bhi bologe...awaaz meri hogi...

Wednesday, March 2, 2011

ग़ज़ल 4

मजबूर हालात और दिल-इ-नादान से लड़ना सीखा था
ग़म-ए-सागर में उसने मेरे साथ तैरना सीखा था

बड़े शौक से मुझे अपना शगिर्द बोलता है वो
जिसने कभी पढ़कर मेरी किताबें बोलना सीखा था

गिर पड़ता था कभी तो कभी थाम लेता था मेरा हाथ
राह-ए-ज़िन्दगी में उसने मेरी उंगली पकड़कर चलना सीखा था

यूँ तो खिलते थे गुल और पतझड़ भी आते थे मौसम में
सुनकर मेरे अल्फाज़ उसने ज़िन्दगी से मुहब्बत करना सीखा था

उसकी याद अब दिल-ए-गुस्ताख से जाती नहीं शैल
मेरे साथ मिलकर जिसने ख्वाब देखना सीखा था

GHAZAL 4

Majboor halaat aur dil-e-nadan se ladna seekha tha
gham-e-sagar mein usne mere sath tairna seekha tha

Bade shauk se mujhe apna shagird bolta hai wo
jisne kabhi padhkar meri kitaabein bolna seekha tha

Gir padta tha kabhi to kabhi thaam leta tha mera haath
raah-e-zindgi mein usne meri ungli pakadkar chalna seekha tha

Yun to khilte the gul aur patjhar bhi aate the mausam mein
sunkar mere alfaz usne zindgi se muhabbat karna seekha tha

Uski yaad ab dil-e-gustakh se jaati nahi shail
mere saath milkar jisne khwab dekhna seekha tha
Ye kaun see kashti mein aaj baitha hai tu shail
Manzil to dikhti hai par faasle kam nahi ho re

Monday, February 28, 2011

Isse badi jahalat aur kya hogi Izhaar-E-Ishq mein shail
main samajh naa paya uski palkein jhukne ka sabab

Thursday, February 17, 2011

Achchha hai ye bhram to door hua
hat gya parda unki aankh se meri achchhai ka
Ummeed ka silsila toot gya shayad
gham kam hoga ab unhe meri ruswai ka

Tuesday, February 15, 2011

ग़ज़ल 3

इश्क में चुप रहकर भी नज़रों से बात होती है
अब तो ख़्वाबों में तुमसे रोज़ मुलाक़ात होती है

किसी दिन तुम भी देखोगे ये नज़ारा हसीन
मुहब्बत भरे दिलों की बात कुछ ख़ास होती है

फिर न याद आयेंगे ये गिले शिकवे कभी तुमको
जब जान जाओगे की प्यार में क्या बात होती है

कभी तो होगा अहसास तुम्हे मेरी चाहतों का
ग़म-ए-मुहब्बत में बिन सावन बरसात होती है

एक दिन हर तरफ बिखर जाएगा खुशियों का सवेरा शैल
प्यार भरे संसार में भला कब रात होती है

GHAZAL 3

Ishq mein chup rehkar bhi nazro se baat hoti hai
Ab to khwabo mein tumse roz mulaqat hoti hai

Kisi din tum bhi dekhoge ye nazara haseen
Muhabbat bhare dilo ki baat kuch khash hoti hai

Phir na yaad aayenge ye gile shikwe kabhi tumko
Jab jaan jaaoge ki pyar mein kya baat hoti hai

Kabhi to hoga ahsaas tumhe meri chahto ka
Gham-e-muhabbat mein bin sawan barsat hoti hai

Ek din har teraf bikhar jayega khushiyo ka savera shail
Pyar bhare sansar mein bhala kab raat hoti hai

Monday, January 24, 2011

Dono ka ek hee hai anJaam-E-Muhabbat Shail
Jo mit na jaaye shama k sath wo parwana nahi

ग़ज़ल 2

उसकी एक झलक के लिए दुनिया से बेगाने हो गए हैं हम
ऐसा लगता है कि इश्क में दीवाने हो गए हैं हम

तेरा जिक्र आने पे जाने क्यूँ लोग मेरा नाम लेते हैं
हर शक्स के चर्चों के फ़साने हो गए हैं हम

भरी महफ़िल में मुझे पहचानने से इनकार करता है
जिसकी तन्हाइयों में गुनगुनाने के तराने हो गए हैं हम

मुझे पता है की मिलती नही अपनी राह-ए-ज़िन्दगी कहीं
पर वो न मिलेगा इस बात से अनजाने हो गए हम

अब तो आजा कि ये दम निकलने को है शैल
तेरे इंतज़ार में दिन महीने ज़माने हो गए हैं हम

GHAZAL 2

Uski ek jhalak ke liye duniya se begaane ho gye hain hum
aisa lagta hai ki ishq mein deewane ho gye hain hum

Tera jikra aane pe jaane kyun log mera naam lete hain
har shaqs ke charcho ke fasaane ho gye hain hum

Bhari mehfil mein mujhe pehchanne se inkaar karta hai
jiski tanhaiyo mein gungunane ke taraane ho gye hain hum

Mujhe pta hai ki milti nahi apni raah-e-zindgi kahin
par wo na milega iss baat se anjaane ho gye hain hum

Ab to aaja ki ye dum niklne ko hai Shail
tere intezar mein din, mahine, zamaane ho gye hain hum

ग़ज़ल 1

कुछ पाने की ख्वाहिश को मन में लाया ना गया
उसके जाने के बाद किसी और से दिल लगाया ना गया

कुछ तो बात थी उसकी मुस्कुराहट में
लाख चाहकर भी मुझसे भुलाया ना गया 

यूँ तो खफा मुझसे वो हर रोज़ होता था
लेकिन इस बार वो रूठा ऐसे की मनाया ना गया

किससे कहता मैं हाल-ए-दिल वो जो ना था मेरे पास
उसकी यादों के सिवा अपना कोई बनाया ना गया

कोई नहीं चलता साथ सफ़र-ए-ज़िन्दगी में शैल
अंधेरों में तो साए से भी साथ निभाया ना गया

GHAZAL 1

Kuchh paane ki khwahish ko mann mein laya na gya
uske jaane ke baad kisi aur se dil lgaya na gya

Kuchh to baat thi uski muskurahat mein
laakh chahkar bhi mujhse bhulaya na gya

Yu to khafa mujhse wo har roz hota tha
lekin is baar wo rutha aise ki manaya na gya

Kisse kehta main haal-e-dil wo jo na tha mere paas
usski yaadon k siva apna koi bnaya na gya

Koi nahi chalta hai saath safar-e-zindgi mein shail
andhero mein saaye se bhi saath nibhaya na gya